Jab mudh kar piche dekha to laga ki sab kuch kho diya
zindagi to band mutthi mein ret hai
kab hath se nikal jaye pata nahi chalta
Bachpan ke woh khel aaj bhi yaad hai
yaad hai toot te huye tare ko dekh sapne bunna
aaj jab toota tara aur socha ki kya maangu
To ehsaas hua ki Iss bhagdodh mein sapne kho gaye